Hai aisa nahi ki ye sunta nahi hai,
kabhi kabhi haan par, ye kehta "nahi" hai
zarurat hamari, isey har pata hai,
jo maange agar kuchh, tasalli dili hai
hai lagta hamein, intezar kuchh lamba,
par timing to iski hi sabse sahi hai
jo sochein, hamein chhod sab hai ye soche,
tab bhi soch iski hi sabse badi hai
jo poochhein, ibaadat, karein hum ye kab tak,
ibaadat to har saans se hi judi hai
sada pyaar karna, hai ye hi ibaadat,
namaazein to bas guftagu ki ghadi hain