Saturday, September 16, 2006

Do Kaanch ke tukde

Zameen par pade kaanch ke tukde ko na dutkaaro,
shaayad kisi ke aasmaan ka wo taara hoga

dikhta hai jo tumhare jahaan mein karkat saa,
kisi ke jahaan ka kiya roshan usney nazaara hoga

tumhaari zameen par jagah banaane ki koshish ne
kiya taraashney ka kaam usey saara hoga

dekhoge gar uski taraf zaraa gaur se,
uski adni si chamak ka tumhari aankhon mein bhi taara hoga

aur li tumne gar ye chamak har tukde se,
to bhara roshni se tumhara har kinaara hoga

har raah mein tumhaari bikhraa laakh taara hoga,
kyonki aise tukdon se to bhara jahaan saara hoga

aur maana jo har taare ko kaanch ka tukda,
tumhaari band aankhon ko na naseeb wo har sitaara hoga

zindagi galat hogi bas chamak se bachne mein,
kyonki aise tukdon se to bhara jahaan saara hoga.







5 comments:

umang said...

gud one bahi saab....
sahi likhe ho [:)]

Akshay said...

god ra!

al said...

wah bhai wah !

Deepak Pushpakar said...

Thanks to all for the appreciation

Daroga said...

bahut sahi... very deep words...
and the 1st two lines are just GRRRR88888 !!!!!!!!